Asha bhonsle

Aaj hai karva chauth

Asha bhonsle
Aaj hai karva chauth sakhi ri mang le sukh kaa dan
apne sapano ke swami kaa dhar kar mann me dhya

janam janam tak mang kaa teree rang pade naa phika
jab tak chamke chand sitare, tab tak chamke tika
bandhe rahe manabhate pritam ke prano se pran
aaj hai karva chauth

jo koyi mange aaj lagan se yug yug kaa sukh paye
sath saphal ho prem amar ho jivan me ras aaye
aaj har ik nari ko prabhu se milta hai vardan
aaj hai karva chauth

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!