Asha bhonsle

Jinhe ham bhulaana chaahe

Asha bhonsle
Jinhe hum bhulaana chaahe, wo aksar yaad aate hain
bura ho iss muhabbat ka, wo kyon kar yaad aate hain

bhulaaye kis tarah un ko, kabhi pi thi un aankhon se
chhalak jaate hain jab aansu, wo saagar yaad aate hain

kisi ke sunrkha lab the ya diye ki lau machalati thi
jaha ki thi kabhi puja, wo mandar yaad aate hain

rahe aye shamma tu roshan, duwa deta hain parawaana
jinhe kismat mein jalna hain, wo jalakar yaad aate hain

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!