Asha bhonsle

Mujhee me chhup kar mujhee se dur

Asha bhonsle
Mujhee me chhup kar mujhee se dur
yeh kaisa dastur re malik yeh kaisa dastur

maine man kee aankho se toh dekha hai sau bar tujhe
lekin tan kee aankho se bhee de darshan ik bar mujhe
darshan de phir chhin le ankhiya yeh mujhko manjur
re malik yeh mujhko manjur, mujhee me chhup kar

chalee hava jab tan ko chhu kar maine tujhe pehchan liya
tujh bin komal hath yeh kisaka hoga maine jan liya
dhup hava sab rup hain tere sab me teraa nur
re malik sab me teraa nur, mujhee me chhup kar

sachche dil se nam lun teraa nirdhan kee yahee puja hai
andhiyare me sathee koyee aur na tum bin duja hai
teree kushee me kush hain data ham bande majbur
re malik ham bande majbur, mujhee me chhup kar

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!