Asha bhonsle

O shamma mujhe phunk de

Asha bhonsle
Shamma mujhe phunk de, main na main rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur
parwane ja, hai ajab chalan, yaha jite ji apana milan
kismat ko nahi manzur

sham se lekar roj sahar tak tere liye main har rat jali
maine toh haye yeh bhi na jana kab din duba, kab rat dhali
phir bhi hai milne se majbur
o shamma mujhe phunk de

paththar dil hai yeh jagwale, jane na koyi mere dil ki jalan
jab se janmi pyar ki duniya, tujhko hai meri mujhe teri lagan
tujh bin ye duniya hai benur
parwane ja, hai ajab chalan, yaha jite ji apana milan
kismat ko nahi manzur

hay ri kismat, andhi kismat dekh saki na meri teri khushi
hay ri ulfat bebas ulfat ro ke thaki jal jal ke mari
dil jo mile kis ka tha kasur

o shamma mujhe phunk de, main na main rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur
parwane ja, hai ajab chalan, yaha jite ji apana milan
kismat ko nahi manzur

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!