Asha bhonsle

Tumhara chahanewala khuda kee duniya me

Asha bhonsle
Tumhara chahanewala khuda kee duniya me
mere siwa bhee koyee aur ho khuda naa kare

yeh bat kaise ganwara karega dil meraa
tumhara jikr kisee aur kee jaban pe ho
tumhare husn kee tarif aayina bhee kare
toh mai tumharee kasam hai, ke tod doo usako
tumhare pyar, tumharee ada kaa diwana
mere siwa bhee koyee aur ho khuda naa kare

woh din naa aaye ke mujhse kabhee juda hokar
kisika pyar dobara kahee talash karo
jukake sar ko kisee ajanabee ke shano par
tum apne gam kaa sahara kahee talash karo
karib dil ke tumhare kisee bhee halat me

tumhare dil ko kabhee mujhse koyee thhes lage
muje yakin hai, ayesa kabhee nahee hoga
muje wafao pe apanee bada bharosa hai
tumhara pyar hee de jaye naa kahee dhokha
duwa yeh hain ke tumhara, khuda kee duniya me
mere siwa bhee koyee aur ho, khuda n kare
tumhara chahanewala khuda kee duniya me
mere siwa bhee koyee aur ho khuda naa kare

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!