Asha bhonsle

Tumhi se roshan hai raat

Asha bhonsle
Tumhi se roshan hai raat meri
Tumhi se harr din huwa sunehra
Uthhe jahan bhi nazar tumhaari
Ho zindagi ka wahin savera
Sajje thay kabse tumhaare sapne
Meri nigahon ke darpanon mein
Sulagti rehti thi dheemi dheemi
Yeh aag madhma ke savanon mein

Sakoon hai jabse geysuon ki
Haseen chaaon mein hai besera
Uthhe jahan bhi nazar tumhaari
Ho zindagi ka wahin savera
Yeh kaise jaadoo jaga diye hain
Mere khayalon k aanganon mein
Sunoo sadaaye tumhaare dil ki
Main apne seene ki dhadhkanon mein

Jidhar bhi jaoon hai saath jaise
Tumhari baahon ka narm gheyra
Tumhi se roshan hai raat meri
Tumhi se harr din huwa sunehra
Naya nahin hai yeh dil ka mausam
Bayi nahin hain chaahtein humaari
Milay nahin thay magar hamesha
Nigah mein thi chhavi tumhaari

Thi mere dil mein tumhaari dhadhkan
Tumhaare honton pe naam mera
Tumhi se roshan hai raat meri
Tumhi se harr din huwa sunehra
Uthhe jahan bhi nazar tumhaari
Ho zindagi ka wahin savera

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!