Asha bhonsle

Yahi wafa ka sila hai toh koi baat nahi

Asha bhonsle
Yahi wafa ka sila hai toh koi baat nahin
yeh dard tune diya hai toh koi baat nahin

kise majaal kahe koyi mujhko deewaana
agar yeh tumne kaha hai toh koi baat nahi

yahi bahut hai ki tum dekhte ho saahil se
safina dub raha hai toh koi baat nahi

jo aanewaala hai kal usako kisne dekha hai
wo hamase aaj juda hai toh koyi baat nahi

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!