Asha bhonsle

Yeh rate yeh mausam nadee ka kinara

Asha bhonsle
Yeh rate yeh mausam nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
kaha do dilo ne ke milkar kabhee ham na honge juda
yeh rate yeh mausam nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

yeh kya bat hai, aaj kee chandnee me
ke ham kho gaye, pyar kee raganee me
yeh baho me bahe, yeh behkee nigahe
lo aane laga jindagee ka maja
yeh rate yeh mausam nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

sitaro kee mehfil ne karke ishara
kaha abb toh sara jahan hai tumhara
mohabbat jawan ho, khula aasman ho
kare koyee dil aarju aur kya
yeh rate yeh mausam nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

kasam hai tumhe, tum agar mujhse ruthe
rahe sans jab tak yeh bandhan na tute
tumhe dil diya hai, yeh wada kiya hai
sanam mai tumharee rahungee sada
yeh rate yeh mausam nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
kaha do dilo ne, ke milkar kabhee ham na honge juda
yeh rate yeh mausam nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!